Apna Zarf Apne Hathon Naap Lijiye



Apna Zarf ! Apne Hathon, Naap Lijiye

Chote Bare Dard Sare Dhanp Lijiye

Pehle Daal Lijiye ! Purane Waqyaat

Phir ! Seene ki Ramahaton se, Bhaap Lijiye

Dil k ! Barf'khane me, Munasib e Khizaan

Gulabi ! lamS ki Angeethi, Taap Lijiye

Tafseeli Mulaqat me, Ba Waqt e Zarurat

Siskiyan Bhi ! Kaandhon par, Alaap Lijiye

Aur Taiz Hoga Abhi, Raqs e Nadamat

Dholak e Zameer se, ik Thaap Lijiye

Mere Mathay ! Hath se, Na Kufar Tolye

JhoOti Qasm Khaye, Na ! Paap Lijiye

Shrab e Naab Jesa Hai, Ye Zabt e Afreen

Main Bhi Piye leta hun, Kuch ! Aap Lijiye

Naqab ki MojoOd, Wahan Saanvi Rahe

RoOp ko Nazar se, Jahan Bhaanp Lijiye

Aap Chhorr Jaeyn ge, Dafaatar e Sitam

Apne Andar ! Aik Baar,Kaanp lijiye

Is qadar Nahi hen Aap, Mustqil Mizaj

Thak Gay hen, Aaye ! Thorra Haanp lijiye

Naag ! Phir rahe Hen RAZAB, Jabaja Yahan

Apni ! Aasteenen Zara, Dhaanp Lijiye.

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo