Ehd-E-Gum Gashta Ki Tasveer Dekhati Kion Ho

 

Poet Sahir Ludhianvi 

 

Ehd-E-Gum Gashta Ki Tasveer Dekhati Kion Ho?

Aik Awara Manzal Ko Satati Kion Ho?

Wo Haseen Ehd Jo Sharminda Aifa Na Howa,

Is Haseen Ehd Ka Mafhoom Jatati Kion Ho,

Zindagi Shola Bebaak Bana Lo Apni,!

Khud Ko Khak Tar-E-Khamosh Banati Kion Ho,

Main Tasawof K Marahil Ka Nahi Hon Qail,

Meri Tasveer Pe Tum Phool Charhati Kion Ho?

Kon Kehta Hai K Aahein Hain Masaib Ka Ilaj,

Jan Ko Apni Abas Rog Lagati Kion Ho?

Aik Sar Kash Mohabbat Ki Tamana Rakh Kar!

Khud Ko Ayn K Phandon Mein Phansati Kion Ho?

Main Samjhta Hon Taqadus Ko Tamdan Ka Fareib,

Tum Rasoomat Ko Iman Banati Kion Ho?

Jab Tumhain Mujh Se Ziada Hai Zamane Ka Khayal,

Phir Meri Yad Mein Youn Ashk Bahati Kion Ho?

Tum Mein Himat Hai To Dunia Se Baghawat Kar Do,

Warna Maan Bap Jahan Kehte Hain Shadi Kar Lo.

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo