Had-E-Jana Se Guzar Howa To Mohabbaton Ka Pata Chale Ga

 

 

 Had-E-Jana Se Guzar Howa To,

Mohabbaton Ka Pata Chale Ga,

Koi Muhabbat Ki Nazar Howa To,

Muhabbaton Ka Pata Chale Ga,

Abhi To Phirte Ho Doston Mein,

Azeez Koi Juda Nahi Hai,

Koi Idhar Se Udhar Howa To,

Muhabbaton Ka Pata Chale Ga,

Ye Khush Naseebi Hai Shehr Bhar Mein,

Tumhara Dushman Nahi Hai Koi,

Kabhi Kisi Ka Jo Dar Howa To,

Muhabbaton Ka Pata Chale Ga,

Ye Fasla Jo Abhi Talak Ham Dono K Darmian Hai,

Ye Fasla Mukhtasar Howa To,

Mohabbaton Ka Pata Chale Ga,

Abhi Muhabbat Nahi Hoi Na,

Kuch Isi Liye Muskara Rahe Ho,

Kisi K Bahon Mein Ghar Howa To,

Muhabbaton Ka Pata Chale Ga,

M0HABATON Mein Pathron Ko,

Mom Hote Suna Hai Lekin,

Tumhare Dil Pe Asar Howa To,

Mohabbaton Ka Pata Chale Ga,

Wo Jis K Khatir Bana Rahe Ho,

Zamane Bhar Ko Tum Apna Dushman,

Wo Hi Na Apna Agar Howa To,

Mohabbaton Ka Pata Chale Ga,

Badal Badal K Wo Apne Chehre,

Mayar Apna Bana Rahe Ho,

Koi Na Had-E-Nazar Howa To,

Mohabbaton Ka Pata Chale Ga,

Ye Kia Bicharna Ki Sham Hote Hi,

Apne Pyaron Mein Lot Aana,

Kabhi Jo Lamba Safar Howa To,

Mohabbaton Ka Pata Chale Ga..................! 

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo