Mitta Hai Mitaye Se Ab Shoq Kahein Tera Hai Paish-E-Nazar

 

 

 

 

Poet Hasrat Mohani


Type bY

UJRRA_DIL


Mitta Hai Mitaye Se Ab Shoq Kahein Tera,


Hai Paish-E-Nazar Har Dam Husan-E-Namkeen Taira,


Ay Qasr-E-Imart Ki Veerani-O-Barbadi,


Kis Gosha-E-Ibrat Mein Sota Hai Makeen Taira,


Aakhon K Tabsum Ny Khol Dia Parda,


Hum Par Na Chala Jadu Ay Cheen-E-Jabeen Taira,


Juz Kasrt-E-Mehroomi Juz Ghayat-E-Dilgeeri,


Monas Na Hua Koi Ay Jaan-E-Hazeen Taira,


Tha Sehar Wo Kaya ?

Aisa Taseer Mohabbat Ka,


Parhty Hain Jo Sb Kalma,

Ay Dushman-E-Deen Taira,


Jis Noor Sy Roshan Hai

Jaan-O-Dil-E-Mushaqa'n,


Shayd Wo Tasvur Hai Ay Maah-E-Jabeen Taira,


Marghoob Tamna Hai

Mehboob-E-Dil-O-Jaan Hai,


Har Wazah Jafa Tairi Har Shaiwah-E-Keen Taira,


Hum Khoob Samjhty Hain HASRAT Sy Tairi Batein,


Iqrar Ka Pardah Hai Inkar Naheen Taira.......!

.

Kuliat-E-Hasrat


Page 72


Gzl Num 15

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo