Husan Ko Chaand Jawani Ko Kanwal Kehtay Hain Us Ki Soorat Nazar Aaye To Ghazal Kehtay Hain

شاعر قتیل شفائی

سنگر سلیم رضا

انتخاب عروسہ ایمان

حسن کو چاند جوانی کو کنول کہتے ہیں

 اس کی صورت نظر آۓ تو غزل کہتے ہیں

اف وہ مر مر سے تراشا ھوا شفاف بدن

دیکھنے والے جسے تاج محل کہتے ہیں

وہ تیرے حسن کی قیمت سے نہی ہے واقف

 پنکھڑی کو جو تیرے لب کا بدل کہتے ہیں

پڑ گئ پاؤں میں تقدیر کی زنجیر تو کیا

 ہم تو اس کو بھی تیری زلف کا بل کہتے ہیں

Poet:Qateel Shifai

Husan Ko Chaand Jawani Ko Kanwal Kehtay Hain

Us Ki Soorat Nazar Aaye To Ghazal Kehtay Hain

Uff Wo Mar Mar Se Tarasha Howa Shafaaf Badan

Dekhne Wale Jise Taj Mahal Kehtay Hain

Wo Tere Husan Ki Qeemat Se Nahi Hai Waqif

Pankhrri Ko Jo Tere Lab Ka Badal Kehtay Hain

Parr Gayi Paon Mein Taqdeer Ki Zanjeer To Kia

Hum To Isko Bhi Teri Zulf Ka Bal Kehtay Hain.....!


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo