Kya kya hamare khawb they, jane kahan pe kho gaye Tum bhi kisi ke sath ho, Hum bhi kisi ke ho gaye


Kya kya hamare khawb they, jane kahan pe kho gaye

Tum bhi kisi ke sath ho, Hum bhi kisi ke ho gaye

Jane woh kyon they, Kaun they? aaye they kis liye yahan

Woh jo fashaar-e-waqt mein, Bojh sa aik ddho gaye

Us ki nazar ne yoon kiya gard-e-malal-e-jaan ko saaf

Abar baras ke jis tarah, Saarey chaman ko dho gaye

Katne se aur barhti hai uthey huye sarun ki fassal

Apne lahu se ahl-e-dil, Beej yeh kese bo gaye

Jin ke bagher ik pal, Jeena bhi muhaal tha

Shaklain bhi un ki bujh gayin, Naam bi un ke kho gaye

Ankhon mein bhar ke rut jage, Raston ko de ke duriyan

Amjad woh apne hamsafar, Kese mazey se so gaye


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo