Woh Jheel Main Khila Hua Kanwal Hay Mere Samnay Ghazal Mere Zuban Pah Hay Ghazal Hay Mere Samnay


وہ جھیل میں کھِلا ہوا کنول ہے مرے سامنے
غزل مری زباں پہ ہے غزل ہے مرے سامنے

تمام زندگی مری سمٹ کے جس میں رہ گئی
صدی سے بھی کہیں بڑا وہ پل ہے میرے سامنے

سلجھ سکے گا اب تو بس اسی کی اک نگاہ سے
وہ ایک مسئلہ جو آج کل ہے میرے سامنے

مری طرف وہ دیکھ لے بس اک نگاہِ ناز سے
یہ میری ساری مشکلوں کا حل ہے میرے سامنے

وہ شاعر ہ نہیں مگر مرے سخن کی جان ہے
وہ جس کی زلف کا حسین بل ہے میرے سامنے

 

Woh Jheel Main Khila Hua Kanwal Hay Mere Samnay
Ghazal Mere Zuban Pah Hay Ghazal Hay Mere Samnay

Tamam Zindagi Mere Simat K Jis Main Reh Gayi
Sadi Say Bhi Kahein Bara Woh Pal Hay Mere Samnay

Sulajh Sakay Ga Ab Tou Bas Usi Ki Ek Nigah Say
Woh AIk Masla Jo Aj Kal Hay Mere Samnay

Mere Taraf Woh Daikh Lay Bas Ek Nigah-e-Naaz Say
Yeh Mere Saari Mushkiloun Ka Hal Hay Mere Samnay

Woh Shayara Nahein Magar Mere Sukhan Ki Jaan Hay
Woh Jis Ki Zulf Ka Haseen Bal Hay Mere Samnay


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo