Ghazal Mein Aur Bhi Lehja Shadeed Laonga Qadeem Dasht Se Majnon Jadeed Laonga



غزل میں اور بھی لہجہ شدید لاؤں گا
قدیم دشت سے مجنوں جدید لاؤں گا

منافقت ہی کروں گا منافقین کے ساتھ
یزیدیت کے مقابل یزید لاؤں گا

غریب ہوں مگر اِتنا غریب تھوڑی ہوں
کھلونے بیچ کے روٹی خرید لاؤں گا

تجھے مُکرنے نہيں دوں گا اب عدالت میں
میں تیرے ہاتھ کی لکھی رسید لاؤں گا

خرید لوں گا ترا عشق بھی ہوس کے عوض
کہا نہيں تھا!!!!! بنا کر مُرید لاؤں گا

بُرا سہی مگر اتنی بُری نہيں دُنیا
ترے لئے کوئی اچھی نوید لاؤں گا

یہ سال بھی اِسی اُمید پر گزار دیا
کسی نے وعدہ کیا تھا کہ عید لاؤں گا

ابھی سے بھر گئے تالاب شہر کے
ابھی تو گاؤں سے جگنو مزید لاؤں گا

Roman Version
Ghazal Mein Aur Bhi Lehja Shadeed Laonga
Qadeem Dasht Se Majnon Jadeed Laonga
Munafiqat Hi Karonga Munafiqeen Ke Saath
Yazeediat Ke Muqabil Yazeed Laonga
Ghareeb Hon Magar itna Ghareeb Thodi Hon
Khilony Baich Ke Roti Khareed Laonga
Tujhe Ab Mukarny Nahi Donga Ab Adalat Mein
Main Tere Haath Ki Likhi Raseed Laonga
Khareed Longa Tera Ishq Bhi Hos Ke Ewaz
Kaha Nahi Tha Bana Kar Mureed Laonga
Bura Sahi Magar itni Buri Nahi Dunya
Tere Liye Koi Achi Naveed Laonga
Ye Saal Bhi isi Umeed Par Guzaar Diya
Kisi Ne Wada Kia Tha Keh Eid Laonga
Abhi Se Bhar Gaye Talaab Shehr Ke
Abhi Tou Gaon Se Jugno Mazeed Laonga

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo