Ibadat Ke Liye Jab Jisam-e-Athar Raqs Karta Hai Jabeen-e-Ishq Jhukti Hai Tou Munbar Raqs Karta Hai



کلام: گھائل جونپوری
ردیف: رقص کرتا ھے
قوافی: اطہر ، منبر ، قلندر

ﻋﺒﺎﺩﺕ ﮐﮯ ﻟﺌﮯ ﺟﺐ ﺟﺴﻢِ ﺍﻃﮩﺮ ﺭﻗﺺ
ﮐﺮﺗﺎ ﮨﮯ
ﺟﺒﯿﻦِ ﻋﺸﻖ ﺟﮭﮑﺘﯽ ﮨﮯ ﺗﻮ ﻣﻨﺒﺮ ﺭﻗﺺ
ﮐﺮﺗﺎ ﮨﮯ
ﻋﯿﺎﮞ ﮨﻮﺗﮯ ﮨﯿﮟ ﻧﻈﺮﻭﮞ ﻣﯿﮟ ﮨﺰﺍﺭﻭﮞ ﺭﻧﮓ
ﻭﺣﺪﺕ ﮐﮯ
ﺍﻧﺎﺍﻟﺤﻖ ﮐﯽ ﺻﺪﺍ ﭘﺮ ﺟﺐ ﻗﻠﻨﺪﺭ ﺭﻗﺺ
ﮐﺮﺗﺎ ﮨﮯ
ﺳﮑﻨﺪﺭ ﺧﻮﺵ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﮯ ﻟﻮﭦ ﮐﺮ ﺩﻭﻟﺖ
ﺯﻣﺎﻧﮯ ﮐﯽ
ﻗﻠﻨﺪﺭ ﺩﻭﻧﻮﮞ ﮨﺎﺗﮭﻮﮞ ﺳﮯ ﻟﭩﺎ ﮐﺮ ﺭﻗﺺ
ﮐﺮﺗﺎ ﮨﮯ
ﺳﻮﺍ ﺗﯿﺮﮮ ﮐﺴﯽ ﺷﮯ ﮐﯽ ﺗﻤﻨﺎ ﻣﯿﮟ ﻧﮩﯿﮟ
ﺭﮐﮭﺘﺎ
ﯾﮧ ﮐﯿﺴﯽ ﺁﺭﺯﻭ ﮨﮯ ﮐﮧ ﻣﻘﺪﺭ ﺭﻗﺺ ﮐﺮﺗﺎ
ﮨﮯ
ﺯﻣﺎﻧﮯ ﻣﯿﮟ ﺍﺩﺍ ﮐﺮﺗﺎ ﮨﻮﮞ ﺟﺐ ﺑﮭﯽ ﺭﺳﻢِ
ﺷﺒﯿﺮﯼ
ﺗﻮ ﻧﻮﮎِ ﺧﻨﺠﺮِ ﺑﺎﻃﻞ ﭘﮧ ﺑﮭﯽ ﺳﺮ ﺭﻗﺺ
ﮐﺮﺗﺎ ﮨﮯ
ﺟﻨﻮﻥِ ﻋﺸﻖ ﮐﯽ ﮐﯿﻔﯿﺘﯿﮟ ﮔﻤﻨﺎﻡ ﮨﻮﺗﯽ ﮨﯿﮟ
ﻣﺮﺍ ﻧﻐﻤﮧ ﮨﺮ ﺍﮎ ﺷﮯ ﮐﯽ ﺯﺑﺎﮞ ﭘﺮ ﺭﻗﺺ
ﮐﺮﺗﺎ ﮨﮯ

ﻣﮑﺎﮞ ﺳﮯ ﻻﻣﮑﺎﮞ ﺗﮏ ﺁﻥِ ﻭﺍﺣﺪ ﻣﯿﮟ
ﮔﺰﺭﺗﺎ ﮨﻮﮞ
ﻣﺮﯼ ﮨﺴﺘﯽ ﻣﯿﮟ ﺟﺐ ﺗﻮ ﻧﻮﺭ ﺑﻦ ﮐﺮ ﺭﻗﺺ
ﮐﺮﺗﺎ ﮨﮯ
ﻣﯿﮟ ﺑﺎﺏِ ﻋﻠﻢ ﺳﮯ ﺭﮐﮭﺘﺎ ﮨﻮﮞ ﻧﺴﺒﺖ ﺍﺱ
ﻟﺌﮯ ﮔﮭﺎﺋﻞ
ﮨﺘﮭﯿﻠﯽ ﭘﺮ ﻣﻘﺪﺭ ﮐﺎ ﺳﮑﻨﺪﺭ ﺭﻗﺺ ﮐﺮﺗﺎ ہے
 
Poet:Ghail Junpouri

Ibadat Ke Liye Jab Jisam-e-Athar Raqs Karta Hai
Jabeen-e-Ishq Jhukti Hai Tou Munbar Raqs Karta Hai

Aayaan Hote Hain Nazron Mein Hazaron Rang Wahdat Ke
Annalhaq Ki Sada Par Qalandar Raqs Karta Hai

Sikandar Khush Nahi Hai Lout Kar Daolat Zamane Ki
Qalandar Dono Haathon Se Luta Kar Raqs Karta Hai

Seva Tere Kisi Shay Ki Tamanna Main Nahi Rakhta
Ye Kaisi Aarzoo Hai Keh Muqaddar Raqs Karta Hai

Zamane Mein Ada Karta Hon Jab Bhi Rasm-e-Shabbiri
Tou Nok-e-Khanjar-e-Batil Pe Bhi Sar Raqs Karta Hai

Junoon-e-Ishq Ki Kaifiyatein Gumnaam Hoti Hain
Mera Naghma Har Ik Shay Ki Zubaan Par Raqs Karta Hai

Makaan Se La-Makaan Tak Aan-e-Wahid Mein Guzarta Hon
Meri Hasti Mein Jab Tuu Noor Ban Kar Raqs Karta Hai

Main Baab-e-ilam Se Rakhta Hon Nisbat Is Liye "Ghail"
Hathaili Par Muqaddar Ka Sikandar Raqs Karta Hai

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo