Mujh ko ik humdum mila tha, ik safar ki raat mein Main bohat be’khud hua tha, ik safar ki raat mein


Mujh ko ik humdum mila tha, ik safar ki raat mein
Main bohat be’khud hua tha, ik safar ki raat mein

Janey kis ki yaad thi ke aik manzar dekh kar
Toot kar main ro parra tha, ik safar ki raat mein

Kash aesa ho, yahin pe rok lain hum waqt ko
Yaad hai, tu ne kaha tha? ik safar ki raat mein

Woh jiss se umar bhar ki doooriyan mansoob hain
Mere seeney se laga tha, ik safar ki raat mein

Har tarah phailey huye they yaad-e-gham ke silsiley
Kitna mushkil raasta tha, ik safar ki raat mein

Ghar se bahar paaon rakhtey hi larzz uthta hai dil
Haadsaa aesa hua tha, ik safar ki raat mein

Aaj bhi main gungunaata hoon usey tanhayi main
Geet jo hum ne sunaa tha, ik safar ki raat mein

Uss ki yaadon ke saharey kar raha hoon zindagi
Jo mujhe Waasiq milta tha, ik safar ki raat mein

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo