Samander Mein Utarta hoon tau ankhein bheeg jati hain


Samander Mein Utarta hoon tau ankhein bheeg jati hain
Teri ankhon ko parhta hoon tau ankhein bheeg jati hain

Tumhara Naam likhney ki ijazaat chin gayi jab sey
Koi bhi lafz likhta hoon tau ankhein bheeg jati hain

Tumhari yadoon ki kushboo khirkion mein raqs kerti hai
Tere ghum mein sulagta hoon tau ankhein bheeg jati hain

Mein Hans key jhail leita hoon judai ki sabhi rasmain
Galey jub uss key lagta hoon tau ankhein bheeg jati hain

Na-janey ho giya hoon iss gadr hasaas mein kab sey
kisi sey baat kerta hoon tau ankhein bheeg jati hain

Woh sub guzrey hoye lamhaat mujh ko yaad aatey hain
Tumharey khat jo parhta hoon tau ankhein bheeg jati hain

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo