Aayey kuchh abr, kuchh sharaab aayey Us k baad aayey jo azaab aayey


Aayey kuchh abr, kuchh sharaab aayey
Us k baad aayey jo azaab aayey
Baam-e-meena se mahtaab utray
Dast-e-saaqi mein aaftaab aayey
Har rag-e-jaan mein phir chiraghaan ho
Saamney phir wo baynaqaab aayey
Kar raha tha gham-e-jahaan ka hisaab
Aaj tum yaad bayhisaab aayey
Jal uthay bazm-e-ghair k darbaan
Jab bhi ham khaanumaan kharaab aayey
Faiz thi raah sar basar manzil
Ham jahaan pahunchey kaamyaab aayey

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo