Ay Bint-E-Hawa Sambhaal Khud Ko YE Ibn-E-Aadam Hawas Ko Chahat Ka Naam De Kar


اے بنتء ہوا سنبھال خود کو
یے ابنء آدم ہوس کو
چاہت کا نام دے کر
پیاس اپنی بجھاتے رہے ہیں
تیرا دامن جلا رہے ہیں
مگر تو پیکرء وفا بنی ہے
وفا ہی تیری خطا بنی ہے
تو کتنی سادا تو کتنی پاگل ہے
تو کس کی باتوں میں آ رہی ہے
مقام اپنا گنوا رہی ہے
یے چاہتوں کا فریب دے کر
تمہارے جذبوں سے کھیلتے ہیں
اپنی خواہش مٹانے تک یے
تمہاری چاہت کو جھیلتے ہیں
مگر یے اپنی ہوس مٹا کر
تمہیں بھلا کر
شکار اگلا تلاشتے ہیں
اے بنتء ہوا سنبھال خود کو

Poet Unknown
Collection UMAR_RAAHI
Ay Bint-E-Hawa
Sambhaal Khud Ko
YE Ibn-E-Aadam Hawas Ko
Chahat Ka Naam De Kar
Pyaas Apni Bujha Raha Hain
Tera Daaman Jala Rahe Hain
Magr Too Paikar-E-Wafa Bani Hai
Wafa Hi Teri Khata Bani Hai
Too Kitni Sada Too Kitni Pagal Hai
Too Kis Ki Baatoon Mein Aa Rahi Hai
Maqaam Apna Ganwa Rahi Hai
Ye Chaahtoon Ka Fareb De Kar
Tumhare Jazboon Se Khelte Hain
Apni Khwahish Mitane Tak Ye
Tumhari Chaahat Ko Jheelte Hain
Magr Ye Apni Hawas Mita Kar
Tumhein Bhula Kar
Shikaar Agla Talaashte Hain
Ay Bint-E-Hawa Sambhaal Khud Ko..................................!

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo