Bakht se koi shikayat hai na iflaak se hai Yahi kia kum hai ke nisbet mujhey is khaak se hai


Bakht se koi shikayat hai na iflaak se hai
Yahi kia kum hai ke nisbet mujhey is khaak se hai
Khuab me bhi tujhey bhooloon tu rawa rakh mujh se
Woh rawayya jo hawa ka khas o khashak se hai
Bazm e anjum me quba khak ki pehni mainey
Aur meri saari fazilat isi poshak se hai
Itni raushan hai teri subha ke hota hai guman
Yeh ujaala tu kisi deeda e namnaak se hai
Haath tu kaat diye kooza garon ke hum ne
Moajzey ki wahi umeed magar chak se hai.
Perveen Shakir

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo