Daagh-e-gham dil se kisi tarah mittaya na geya Main ne chaha bhi magar tum ko bhulaya na geya


Daagh-e-gham dil se kisi tarah mittaya na geya
Main ne chaha bhi magar tum ko bhulaya na geya
Umar bhar yuun to zamaane ke masaayeb jhailay
Teri nazron ka magar haar uthaya na geya
Roothne wale se itna koi ja kar puuche
Khud hi roothay rahe ya hum se manaya na geya
Us ne is tarah mohabbat ki nigaahen daali
Hum se duniya ka koi raaz chupaaya na geya
Thi haqeeqat main wohi manzil-e-maqsad jazbi
Jis jagah tujh se qadam agay barrhaya na geya


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo