Dil Bachpan K Sang Ke Peechy Pagal Hai Kaghaz,Dor,Patang K Peechy Pagal Hai


دل بچپن کے سنگ کے پیچھے پاگل ہے
کاغذ ، ڈور ، پتنگ کے پیچھے پاگل ہے
یار ! میں اتنی سانولی کیسے بھاؤں تجھے
ہر کوئی گورے رنگ کے پیچھے پاگل ہے
شہزادی ، شہزادہ خوش اور بنجارہ
ٹوٹی ہوئی اک ''ونگ'' کے پیچھے پاگل ہے
شہرِ کبیر کی اک دوشیزہ ''ہیر'' ہوئی
اور موءرخ جھنگ کے پیچھے پاگل ہے
میں ہوں جھلی اس کے عشق میں اور وہ شخص
آج بھی اپنی ''منگ'' کے پیچھے پاگل ہے

Dil Bachpan K Sang Ke Peechy Pagal Hai
Kaghaz,Dor,Patang K Peechy Pagal Hai
Yaar Main Itni Sanoli Kaise Bhaon Tujhe
Par Har Koi Gore Rang K  Peechy Pagal Hai
Shehzadi,Shehzada Khush Aur Banjara
Tooti Hoi Ik "Wang" K  Peechy Pagal Hai
Shehar-e-Kabeer Ki Ik Dosheza "Heer" Hoi
Aur Moarikh Jhang K  Peechy Pagal Hai
Main Hon Jhalli Uske Ishq Mein Aur Wo Shakhs
Aaj Bhi Apni "Mang" K  Peechy Pagal Hai

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo