Din Guzar Gaya Aitbar Mein Raat Katt Gai Intzar Mein


Poet Fana Nizami Kanpuri
Type By
 *_FAROOQI.54_*
Din Guzar Gaya Aitbar Mein
Raat Katt Gai Intzar Mein
Wo Maza Kahan Visal-E-Yaar Mein
Lutf Jo Mila Intzaar Mein
Un Ki Ik Nazar Kaam Kar Gai
Hosh Ab Kahan Hoshiyaar Mein
Aankh To Uthi Phool Ki Taraf
Dil Uljh Gaya Hussan-E-Khaar Mein
Tujh Se Kaya Kahein Kitne Gham Sahe?
Hum Ne Bewafa Tere Pyar Mein
Fikar-E-Aashiyaan Har Khizaan Mein Ki
Aashiyaan Jala Har Bahaar Mein
Kis Tarah Ye Gham Bhool Jaein Hum?
Wo Juda Huwa Is Bahaar Mein........!


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo