Hai shakl teri gulaab jaisi nazar hai teri sharaab jaisi


Hai shakl teri gulaab jaisi
nazar hai teri sharaab jaisi

Hawaa sahar ki hai inn dinon mein
badalte mausam ke khwaab jaisi

Sadaa hai ek dooriyon mein ojhal
meri sadaa ke jawaab jaisi

Woh din tha dozakh ki aag jaisa
woh raat gahre azaab jaisi

Ye shehar lagta hai dasht jaisa
chamak hai uss ki saraab jaisi

''Munir'' teri ghazal ajab hai
kisi safar ki kitaab jaisi
 
Munir Niazi

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo