Mazaar-E-Qais Par Jab Rooh-E-Laila Ik Din Aai Aur Armaanoon K Murjhaaye Kuch Phool Bhi Laai


شاعر امیر مینائی
سنگر جگجیت سنگھ
انتخاب فاروقی_54
مزار ۓ قیس پر جب روح ۓ لیلا اک دن آئی
اور ارمانوں کے مرجھاۓ کچھ پھول بھی لائی
لگی جب پھول وہ رکھنے تو قبر سے اک آواز آئی
چڑھانا پھول جان ۓ من مگر آہستہ آہستہ
سرکتی جاۓ رخ سے نقاب آہستہ آہستہ
نکلتا آ رہا آفتاب آہستہ آہستہ
جواں ہونے لگے جب وہ تو ہم سے کر لیا پردہ
حیا یک لخت آئی اور شباب آہستہ آہستہ
شب ۓ فرقت کا جاگا ہوں فرشتو اب سونے دو
کبھی فرست میں کر لینا حساب آہستہ آہستہ
سوال ۓ وصل پر ان کو عدو کا خوف ہے اتنا
دبے ہونٹوں سے دیتے ہیں جواب آہستہ آہستہ
ہمارے اور تمہارے پیار میں بس فرق ہے اتنا
ادھر تو جلدی جلدی ہے
ادھر آہستہ آہستہ
وہ بیدار دل سے کاٹے امیر اور میں کہوں ان سے
حضور آہستہ آہستہ
جناب آہستہ آہستہ

Poet Ameer Minaai
Singer Jagjeet Singh
Type By
*_FAROOQI.54_*
Mazaar-E-Qais Par Jab Rooh-E-Laila Ik Din Aai
Aur Armaanoon K Murjhaaye Kuch Phool Bhi Laai
Lagi Jab Phool Wo Rakhne To Qabar Se Ik Aawaz Aai
Charrhana Phool Jaan-E-Mann Magar Aahista Aahista
Sarkti Jaye Hai Rukh Se Naqaab Aahista Aahista
Niklta Aa Raha Aaftaab Aahista Aahista
Jawan Hone Lage Jab Wo To Hum Se Kar Liya Pardaah
Haya Yaklkht Aai Aur Shabbaab Aahista Aahista
Shab-E-Furqat Ka Jaga Hoon Farshito Ab To Sone Do
Kabhi Fursat Mein Kar Lena Hisab Aahista Aahista
Sawal-E-Visal Par Un Ko Adu Ka Khof Hai Itna
Dabe Hontoon Se Dete Hain Jawab Aahista Aahista
Hamare Aur Tumhare Pyar Mein Bas Faraq Hai Itna
Idhar To Jaldi Jaldi Hai
Udhar Aahista Aahista
Wo Bedaar Dil Se Kaate Ameer Aur Main Kahoon Un Se
Huzoor Aahista Aahista
Janaaab Aahista Aahista.

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo