Meri
saari zindagi ko be-samar uss ne kiya
umar
meri thi magar uss ko basar uss ne kiya
Main
bahut kamzor tha iss mulk mein hijrat ke baad
par
mujhe iss mulk mein kamzor-tar uss ne kiya
Rehbar
mera bana gumraah karne ke liye
mujh
ko seedhe raaste se dar-ba-dar uss ne kiya
Shehar
mein woh mo’tabar meri gawaahi se hua
phir
mujhe iss shehar mein na-mo’tabar uss ne kiya
Shehar
ko barbaad kar ke rakh diya uss ne MUNIR
shehar
par ye zulm mere naam par uss ne kiya
Munir Niazi
No comments:
Post a Comment