Us Ki Hasrat Hai Jise Dil Se Mita Bhi Na Sakoon Dhoondhne Us Ko Chala Hoon Jise Pa Bhi Na Sakoon


شاعر امیر مینائی
انتخاب فاروقی_54
اس کی حسرت ہے جسے دل سے مٹا بھی نہ سکوں
ڈھونڈنے اس کو چلا ہوں جسے پا بھی نہ سکوں
ڈال کر خاک میرے خون پے قاتل نے کہا
یے مہندی نہیں میری کہ مٹا بھی نہ سکوں
صبط کمبخت نے اور بھی آ کے گلا گھونٹا ہے
کہ اسے حال سناؤں تو سنا بھی نہ سکوں
اس کے پہلو میں لے جا کے سلا دوں دل کو
نیند ایسی آۓ کے جگا بھی نہ سکوں
نقش ۓ پا دیکھ تو لوں لاکھ کروں گا سجدے
سر میرا عرش نہیں ہے کہ جھکا بھی نہ سکوں
بے وفا لکھتے ہیں وہ اپنی قلم سے مجھ کو
یے وہ قلم کا لکھا ہے جو مٹا بھی نہ سکوں

Poet Ameer Minai
Type By
*_FAROOQI.54_*
Us Ki Hasrat Hai Jise Dil Se Mita Bhi Na Sakoon
Dhoondhne Us Ko Chala Hoon Jise Pa Bhi Na Sakoon
Daal Kar Khak Mere Khoon Pe Qatil Ne Kaha
Kuch Ye Mehndi Nahein Meri K Mita Bhi Na Sakoon
Zabt Khambakhat Ne Aur Aa K Gala Ghonta Hai
K Use Haal Sunaaoon To Suna Bhi Na Sakoon
Us K Pehloo Mein Le Ja K Sula Doon Dil Ko
Neend Aisi Aaye K Jaga Bhi Na Sakoon
Naqash-E-Pa Dekh To Loon Lakh Karoon Ga Sajde
Sar Mera Arsh Nahein Hai K Jhuka Bhi Na Sakoon
Bewafa Likhte Hain Wo Apni Qalam Se Mujh Ko
Ye Wo Qalam Ka Likha Hai Jo Mita Bhi Na Sakoon........................!

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo