Tum Se Pehly Woh Jo Ik Shakhs Yahan Takht-Nasheen Tha Uss Ko Bhi Apne Khuda Hone Pe Itna Hi Yaqeen Tha



Tum Se Pehly Woh Jo Ik Shakhs Yahan Takht-Nasheen Tha
Uss Ko Bhi Apne Khuda Hone Pe Itna Hi Yaqeen Tha

Koi Tehra Ho Jo Logon Ke Muqabil Toh Batao
Woh Kahan Hain Keh Jinhein Naaz Buhat Apne Taein Tha

Aaj Soye Hain Teh-e-Khaak Na Jane Yahaan Kitne
Koi Shua'ala Koi Shabnam Koi Mehtaab Jabeen Tha

Ab Woh Phirtay Hain Issi Shehr Mein Tanha Liye Dil Ko
Ik Zamane Mein Mizaaj Unn Ka Sar-e-Arsh-e-Bareen Tha

Chorhna Ghar Ka Hamein Yaad Hai Jalib Nahi Bhooly
Tha Watan Zehn Mein Apne Koi Zandaan Toh Nahi Tha

Habeeb Jalib

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo