Gulshan Gulshan shola e gul ki zulf e Saba ki baat chali Harf e junoo ki band e gira ki jurm o saza ki baat chali



Gulshan Gulshan shola e gul ki zulf e Saba ki baat chali
Harf e junoo ki band e gira ki jurm o saza ki baat chali
Zinda zinda shor e junoo hai mausam Gul ke aane se
Mehfil mehfil abke baras har bagh e wafa ki baat chali
Ahd e sitam hai dekhe ham aashufta sarou par kya guzre
Shahar me uske band e kaba ki rang e heena ki baat chali
Ek huwa deewana ek ne sar teshe se phod liya
Kaise kaise log the jinke rasm e wafa ki baat chali
Asghar Saleem

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo