Giran Guzarne Laga Daur e Intezar Mujhe Zara Thapak Ke Sula De Khayaal e Yaar Mujhe



Giran Guzarne Laga Daur e Intezar Mujhe
Zara Thapak Ke Sula De Khayaal e Yaar Mujhe

Na Aaya Gham Bhi Muhabbat Mein Saazgaar Mujhe
Woh Khud Tadap Gae Dekha Jo Be-Qaraar Mujhe

Nigaah e Sharamgeen Chupke Se Le Udi Mujh Ko
Pukaarta Hi Raha Koi Baar Baar Mujhe

Nigaah e Mast Ye Ma'ayar e Be-Khudi Kiya Hai
Zamane Wale Samajhte Hain Hoshiyaar Mujhe

Baja Hai Tark e Ta'alluq Ka Mashwara Lekin
Na Ikhtiyaar Unhein Hai Na Ikhtiyaar Mujhe

Bahaar Aur Ba-Qaid e Khizaan Hai Nang Mujhe
Agar Mile Tou Mile Mustaqil Bahaar Mujhe
Asad Bhopali

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo