Aankhon mein kahin us ke bhi toofaan to nahin tha wo mujh se juda ho ke pashemaan to nahin tha



"Arsh Siddiqui"
(Irshad ur Rahman)
21 Jan 1927 Gurdaspur, Panjab - 18 April 1997 Multan, Pakistan
Pen name - Arsh

Aankhon mein kahin us ke bhi toofaan to nahin tha
wo mujh se juda ho ke pashemaan to nahin tha
Kyun mujh se na ki us ne sar-e-bazm koi baat
main sang-e-malamat se gurezaan to nahin tha
Haan harf-e-tasalli ke liye tha main pareshan
pehlo mein mere dil tha kuhistaan to nahin tha
Kyun rasta dekha kiya us ka main sar-e-sham
be-dard ka mujh se koi paimaan to nahin tha
Jalwa tha tera aag mein har lahza huwaida
warna mujhe jal marne ka armaan to nahin tha
Tha dil bhi kabhi shahr-e-tamanna se mumasil
ye qarya hamesha se bayabaan to nahin tha
Toofan-e-alam kyun mujhe sahil pe utara
main shor-e-talatum se hirasaan to nahin tha
Rakkha tha chhupa kar jise alfaz mein main ne
parde mein sukhan ke bhi wo uryaan to nahin tha
Kahte hain ki hai 'Arsh' nigun pae nabi par
aisa wo koi sahab-e-imaan to nahin tha
Poet:Arsh Siddiqui

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo