Har Shay Hai Pur-Malal Badi Tez Dhoop Hai Har Lab Pe Hai Sawaal Badi Tez Dhoop Hai (Saghar Siddiqui)



Har Shay Hai Pur-Malal Badi Tez Dhoop Hai
Har Lab Pe Hai Sawaal Badi Tez Dhoop Hai

Chakra Ke Gir Na Jaon Main Is Tez Dhoop Mein
Mujh Ko Zara Sambhaal Badi Tez Dhoop Hai

De Hukam Badalon Ko Khayaban-Nasheen Hoon
Jaam-o-Subu Uchhal Badi Tez Dhoop Hai

Mumkin Hai Abr-e-Rehmat-e-Yazdan Bars Pade
Zulfon Ki Chhanv Daal Badi Tez Dhoop Hai

Ab Shehr-e-Aarzoo Mein Woh Ra'anaiyan Kahan
Hain Gul-Kade Nidhal Badi Tez Dhoop Hai

Samjhi Hai Jis Ko Saaya-e-Umeed Aql-e-Kham
"SAGHAR" Ka Hai Khayal Badi Tez Dhoop Hai

Poet:Saghar Siddiqui

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo