Gham Ke Mujrim Khushi Ke Mujrim Hain Log Ab Zindagi Ke Mujrim Hain Saghar Siddiqui)



Gham Ke Mujrim Khushi Ke Mujrim Hain
Log Ab Zindagi Ke Mujrim Hain

Aur Koi Gunah Yaad Nahi
Sajda-e-Be-Khudi Ke Mujrim Hain

Isteghasa Hai Rah-o-Manzil Ka
Rahzan Rahbari Ke Mujrim Hain

Mai-Kade Mein Ye Shor Kaisa Hai
Bada-Kash Bandagi Ke Mujrim Hain

Dushmani Aap Ki Inayat Hai
Hum Faqat Dosti Ke Mujrim Hain

Hum Faqeeron Ki Soraton Pe Na Ja
Khidmat-e-Aadmi Ke Mujrim Hain

Kuch Ghazalan-e-Agahi "SAGHAR"
Naghma-o-Shairi Ke Mujrim Hain

Poet:Saghar Siddiqui

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo