Woh Aik Aisa Shakhs Tha Jis K Liye Bas Aik Rae Sab Ki Thi Payara Bohat Payara Hai Woh







سپنوں کا بنجارا

وہ ایک ایسا شخص
جس کے لیے
بس ایک رائے سب کی تھی
"پیارا بُہت پیارا ہے وہ
سپنے سُہانے پیار کے
بانٹے جو گاؤں گاؤں میں
ایک ایسا بنجارہ ہے وہ "

"ساری زمیں جس کا وطن
سارا جہاں جس کا مکاں
سب لوگ جس کے ہم سُخن
سب لوگ جس کے ہم زباں
جس نے تراشیں منزلیں
جس نے بنائے کارواں
چل کر دِلوں کی راہ سے
چھو لی ہے جس نے کہکشاں"

"وہ روشنی کی کھوج میں
چلتا رہا چلتا رہا
چہرے پہ وہ گردِ سفر
ملتا رہا ملتا رہا
وہ آندھیوں کے درمیاں
جلتا رہا جلتا رہا
وہ زندگی کے حُسن میں
ڈھلتا رہا ڈھلتا رہا"

"وہ نغمہ خواں تھا پیار کا
وہ عشق کا ہم رقص تھا
وہ تنگدل واعظ نہ تھا
اُس میں یہی اِک نُقص تھا
کہتے رہے اُس کو بُرا دیر و حرم
لیکن یہ رائے سب کی تھی اُس کے لیے
"پیارا بُہت پیارا ہے وہ
سپنوں کا بنجارہ ہے "

قتیل شفائی

Sapnon Ka Banjara

Woh Aik Aisa Shakhs Tha
Jis K Liye
Bas Aik Rae Sab Ki Thi
Payara Bohat Payara Hai Woh
Sapnay Suhanay Payaar K
Bantay Jo Gaoun Gaoun mein
Aik Aisa Banjara Hai Woh
 
 Saari Zameen Jis Ka Watan
Sara Jahan Jis Ka Makaan
Sab Log Jee K Ham Sukhan
Sab Log Jis K Ham Zubaan
Jis Nay Tarashein manzilain
Jis Nay Banaye Karwaan
Chal Kar Diloun Ki Raah Say
Chou Li Hai Jis Nay Kehkashan
 
Woh Roshni Ki Khoj Mein
Chalta Raha Chalta Raha
Chehray pe Wo Gird-e-Safar
Malta Raha Malta Raha
Woh Aandhioun K Darmiyaan
Jalta Raha Jalta Raha
Woh Zindagi K Husn Mein
Dhalta Raha Dhalta Raha

Woh Naghma Khwaan Tha Payaar Ka
Woh ishq Ka Ham Raqs Tha
Woh Tangdil Waaiz Na Tha
Us Mein Yahi Ek Nuqs Tha
Kehtay Rahau Us Ko Bura Dair-o-Haram
Lakin Yeh Rae Sab Ki Thi Us Kay Liye

Payara Bohat Payaara Hai Woh
Sapnoun Ka Banjara Hai Woh


Qateel Shifai

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo