Dil Mein Liye Kaisay Kaisay Rog, Ujrree Dunya Kay Ujrray Ujrray Log,

Poet Umar Raahi

Type

By

*_FAROOQI.54_*

Dil Mein Liye Kaisay Kaisay Rog,

Ujrree Dunya Kay Ujrray Ujrray Log,

Aankhoon Mein Chhupaaye Aansoo,

Hontoon Pay Sajaaye Muskuraahit,

Dunya Say Mgar Chhupaaye Rog,

Ujrree Dunya Kay Ujrray Ujrray Log,

Haal Say Lagtay Jogee Hain,

Ye Janam Janam Kay Rogee Hain,

Huwa Na In Ka Preetam Say Sanjog,

Ujrree Dunya Kay Ujrray Ujrray Log,

Mohabbat Mein Ho Gaye Barbaad,

Haar Chukay Bazi Preet Kee,

Sajnee Kay Ik Ishaaray Pay,

Apna Liya Nagaree Nagaree Ka Jog,

Ujrree Dunya Kay Ujrray Ujrray Log,

Lab Pay Koi Shikwa Nahain,

Dunya Say Koee Gila Nahain,

Pyaar Ka Naya Nahain Ye Rog,

Ujrree Dunya Kay Ujrray Ujrray Log.....................!


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo