Dil Mera Ik Kitaab Ki Soorat, Jis Main Wo Hai Gullab Ki Soorat,

Poetess Noshi Gillani

Type By
*._.Murtaza._*

Dil Mera Ik Kitaab Ki
Soorat,

Jis Main Wo Hai Gullab
Ki Soorat,

Hum Se Poocho Ke
Hum Guzaar Aaye,

Zindagi Ko Azaab Ki
Soorat,

Hussan Kache Gharre
Ka Shedaayi,

ISHQ Moaj-E-Chanaab
Ki Soorat,

ISHQ Main Is Tarha
Nahi Hota,

Ye Nahi Hai Nisaab Ki
Soorat,

Main Karri Do Pehar
Ki Tanhaai,

Wo Shab-E-Mahtaab
Ki Soorat,

Poochhta Hai Ke Meri
Ghazloon Main,

Kon Hai Aztaraab Ki
Soorat,

Main Wafa Ki Wohi
Puraani Kitaab,

Wo Naye Intasaab Ki
Soorat,

Jo Nahi Kar Sake,
Kabhi Wo Sawaal,

Us Ne Likha Jawaab
Ki Soorat....................!

Book Name
Mohabbatain Jab
Shumaar Karna
Page 137-138


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo