Dost Ban Kar Bhi Nahi Sath Nibhaane Wala, Wahi Andaz Hai Zalim Ka Zamaane Wala,

Poet Ahmad Faraz

Typed
By
*_UJRRA_DIL_*

Dost Ban Kar Bhi Nahi Sath Nibhaane Wala,

Wahi Andaz Hai Zalim Ka Zamaane Wala,

Ab Usay Log Samjhte Hain Girftaar Mera,

Sakhat Naadim Hai Mujhe Daam Mein Lane Wala,

Subha Dam Chhorr Gaya Nikhat-E-Gul Ki Soorat,

Raat Ko Ghancha-E-Dil Mein Simat Aane Wala,

Kaya Kahein Kitne Maraasim Thay Hamaare Us Se,

Wo Jo Ik Shakhass Hai Mun'h Pher K Jane Wala,

Tere Hote Huye Aa Jati Thi Sari Dunya,

Aaj Tanha Hoon To Koi Nahi Aane Wala,

Muntzir Kis Ka Hoon Tooti Hui Dehleez Pe Main ?

Kon Aaye Ga Yahan Kon Hai Aanay Wala ?

Kaya Khabar Thi Jo Meri Jaan Mein Ghula Hai Itna,

Hai Wahi Mujh Ko Sar-E-Daar Bhi Lane Wala,

Main Ne Dekha Hai Bahaaroon Mein Chaman Ko Jalte,

Hai Koi Khawaab Ki Ta'abeer Bataane Wala,

Tum Takluf Ko Bhi Ikhlaas Samjhte Ho FARAZ,

Dost Hota Nahi Har Hath Milaane Wala................*

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo