Latest Post
Loading...

Hai Aap K Honton Pe Jo Muskaan Waghaira Qurban Gaye Us Pe Dil-o-Jaan Waghaira

Hai Aap K Honton Pe Jo Muskaan Waghaira

Qurban Gaye Us Pe Dil-o-Jaan Waghaira

Billi Jo Yuon Hi Muft Mein Badnaam Hoi Hai

Thelay Mein To Kuch Aur Tha Samaan Waghaira

Ab Hosh Nahi Koi Keh Badaam Kahan Hain

Ab Apni Hatheli Pe Hain Dandaan Waghaira

Kis Naaz Se Wo Nazam Ko Keh Dete Hein Nasri

Jab Us K Khata Hote Hain Aosaan Waghaira

Jamhoriyat Ik Tarz-e-Hakomat Hai Keh Jis Mein

Ghoron Ki Tarah Bikte Hain Insaan Waghaira

Har Shart Ki Boshart Bana Dali Hai ANWAR

Yun Chaak Kia Ham Ne Garebaan Waghaira

0 comments:

Post a Comment

 
Toggle Footer