Raat Ai Hai Balaon Se Rihai Degi Ab Na Deewar Na Zanjir Dikhai Degi

Raat Ai Hai Balaon Se Rihai Degi
Ab Na Deewar Na Zanjir Dikhai Degi

Waqt Guzra Hai Par Mausam Nahin Badala Yaro
Aisi Gardish Hai Zamin Khud Bhi Duhai Degi

Ye Dhundalaka Sa Jo Hai Us Ko Ganimat Jano
Dekhna Phir Koi Surat Na Sujhai Degi

Dil Jo Tutega To Ik Tarfa Tamasha Hoga
Kitne Ainon Main Ye Shaql Dikhai Degi

Sath Ke Ghar Main Bara Shor Barpa Hai Anwar
Koi Ayega To Dastak Na Sunai Degi

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo