Usi Ka Hukam Jari Hai Zameeno Asmaano Main. Or Un K Darmiyan Jo Hai Makeen O Makaano Main.


Poet:
Munir Niyazi
-
-
*._._._HAMD_._._.*
-
-
Usi Ka Hukam Jari Hai Zameeno Asmaano Main..*
-
-
Or Un K Darmiyan Jo Hai Makeen O Makaano Main..*
-
-
Hawa Chalti Hai Baaghon Main To Uski Yad Aati Hai..*
-
-
Sitaray Chand Soraj Hai Sabhi Us K Nishaano Main..*
-
-
Usi K Dum Sy Tay Hoti Hai Manzil Khawab Basti Ki..*
-
-
Wo Naam Ik Harf E Noraani Hai Zulmat K Jahano Main..*
-
-
Usi K Israar E Jahan Ka Ilm Hai Sara..*
-
-
Wohi Barpa Kare Ga Hashar Akhir Zamano Main..*
-
-
Wo Kar Sakta Hai Jo Chahay Har Ik Shay Par Qadir Hai..*
-
-
Wo Sun Sakta Hai Raazon Ko Jo Hai Dil K Khazano Main..*
-
-
Bacha Laita Hai Apne Dosto Ko Khof E Batil Say..*
-
-
Badal Daita Hai Sholon Ko Mehktay Gulistano Main..*
-
-
"Munir" Is Hamd Say Rutba Ajab Hasil Howa Tujh Ko..*
-
-
Nazeer Uski Mile Shayad Purani Dastano Main.....!
-
-
Book
Mah E Munir


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo