Ab kis se kahein aur kon sune jo haal tumhaare baad hua, Iss dil ki jheel si aankhon main ik khwaab bohat barbaad hua


Ab kis se kahein aur kon sune jo haal tumhaare baad hua,

Iss dil ki jheel si aankhon main ik khwaab bohat barbaad hua,

Yeh hijr-hava bhi dushman hai iss naam ke saare rangon ki, 

Voh naam jo mere honton par khushbu ki tarah abaad raha,

Uss shehr mein kitne chehre thay kuch yaad nahi sab bhuul gaye,

Ik shakhs kitaabon jaisa tha voh shakhs zubaani yaad hua,

Voh apne gaaon ki galiyaan thin dil jin main nachta gaata tha,

Ab iss se farq nahin parrta nashaad hua ya shaad hua,

Benaam sataaish rehti thi in gehri saanvli aankhon main,

Aisa toh kabhi socha bhi na tha dil ab jitna bedaad hua....

Noshi


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo