Latest Post
Loading...

agar dard-e-muhabbat se na insaan aashna hota na marne ka maza hota, na jeene ka maza hota


agar dard-e-muhabbat se na insaan aashna hota

na marne ka maza hota, na jeene ka maza hota

hazaaron jaan dete hain buton ki be-vafaa'ii par

agar un mein se koi baa-wafa hota to kya hota

agar dam bhar bhi mit jati Khalish-Khaar tamanna 

dil hasrat talab ko apni hasti hai gilaa hota

ye maana be-hijaabaana nigaahen qah'r karti hain

magar husn-e-haya parwar ka aalam doosra hota 

Brij Narayan Chakbast

 

0 comments:

Post a Comment

 
Toggle Footer