Ak phool khala , souchon Kay chaman main kuch yon Kay khizan main bhi bahar aagayee ho jaisay


اک پھول کھلا ، سوچوں کے چمن میں کچھ یوں

کہ خزاں میں بھی بہار آگئ ہو جیسے

کہ سرد ہوائیں بھی تھم گئیں ہوں جیسے

گلے شکوے دم توڑ گئیے لبوں پہ کیوں آج

یہ آنکھیں ڈبڈبائ ہوئیں کیوں ہیں آج

یہ گماں ہے کہ زندگی ارزاں ہے

یہ یقین کہ یہ حسن پائمال ہونا ہے

وقت کی آندھی میں سے کون بچ پایا ہے

یہ پھول بھی اک دن کمھلا جائیے گا

کہ یہ زرد پھول اور زرد ہوجائیے گا

کہ زندگی نے بھی کب وفا کی ہے

سنا ہے موت سے پہلے سنبھل جاتے ہیں

دل کے ویرانوں میں بھی پھول کھل جاتے ہیں

وہ اک پھول جو کھلا دل کی گہرائیوں میں

وہی آج میرے ہاتھوں میں مرجھا گیا !!

سلیمہ

Ak phool khala , souchon Kay chaman main kuch yon

Kay khizan main bhi bahar aagayee ho jaisay

Kay serd hawain bhi tham gayee hon jaisay

Gilay shikway dam tour gayaa labon pay Keon aaj

Yeh ankhain dubdubayee hoween hain Keon aaj

Yeh guma Kay Zindagi arza hai

Yeh yaqeen kay yeh husn paimal hona hai

Waqt ki andhi say kon bach paya hai

Yeh phool bhi ak din kumhla jayaa ga

Yeh zard phool Aur zard ho jayaa ga

Kay Zindagi nay kab wafa ki hai

Suna hai mout say pahlay sanmbhal jatay hain

Dil Kay weerano main bhi phool khal jatay hain

Woh ak phool Jo khal dil ki gahrayon main

Woh he Aaj meray hathon main murjha gia !!

Saleema

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo