Ataa Jisay Tera Aks-e-Jamaal Hota Hai Wo Phool Saaray Gulistaan Ka Laal Hota Hai

Poet:Saghar Siddiqui

Ataa Jisay Tera Aks-e-Jamaal Hota Hai

Wo Phool Saaray Gulistaan Ka Laal Hota Hai

Raah-e-Majaaz Mein Hain Manzilain Haqeeqat Ki

Magar Ye Ahl-e-Nazar Ka Khayaal Hota Hai

Talaash Karti Hai Saaye Tumhaare Aanchal Ke

Chaman Mein Baad-e-Saba Ka Ye Haal Hota Hai

Bahaar-e-Fitrat Sayyaad Ki Kahani Hai

Ke Iske Dosh Pe Phoolon Ka Jaal Hota Hai

Ye Waardaat Bhi Ab Dil Pe Roz Hoti Hai

Musarraton Mein Bhi Ham Ko Malaal Hota Hai

Ye Bikhray Bikhray Se Gesu, Thaki Thaki Aankhain

Ke Jaisay Koi Gulistaan Nidhaal Hota Hai

Jawaab De Na Sakay Jis Ka Do Jahaan Saghar

 Kisi Ghareeb Ke Dil Ka Sawaal Hota Hai


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo