Aye Naye Saal Bata Tujh Mein Naya Kia Haii,? Har Taraf Khalq Ne Kion Shor Macha Rakha Hai,

شاعر گمنام

انتخاب اجڑا دل

اے نۓ سال بتا تجھ میں نیا کیا ہے ؟
ہر ترف خلق نے کیوں شور مچا رکھا ہے ؟

روشنی دن کی وہی
تاروں بھری رات وہی

آج ہم کو نظر آتی ہے ہر بات وہی
آسمان بدلا ہے
نہ یے افرسدہ زمین

ایک ہندسے کا بدلنا کوئی جدت تو نہی
پچھلے برسوں کی طرح ہوں گے قرینے تیرے

کسے معلوم نہی بارہ مہینے تیرے

بے سبب دیتے ہیں کیوں لوگ مبارک بادیں؟
سب کیا بھول گئے وقت کی کڑوی یادیں

تو نیا ہے تو دکھا صبح نئی شام نئی
ورنہ ان آنکھوں نے
دیکھے ہے نئے سال کئی

Poet not Confirm

Aye Naye Saal Bata Tujh Mein Naya Kia Haii,?

Har Taraf Khalq Ne Kion Shor Macha Rakha Hai,

Roshni Din Ki Wohi,

Taron Bhari Rat Wohi,

Aaj Hum Ko Nazar Aati Hai Har Bat Wohi,

Aasman Badla Hai Na Badli Ye Afsurda Zameen,

Aik Hindse Ka Badalna Koi Jiddat To Nahi,

Pichle Barson Ki Tarha Hon Gay Qareene Tere,

Kise Maloom Nahi 12 Maheene Tere,

Be Sabab Dete Hain Kion Log Mubarik Badein,

Sab Kia Bhool Gaye Waqt Ki Karvi Yadein,

Too Naya Hai To Dekha Subha Nai Sham Nai,

Warna In Aankhon Ne Deikhe Hain Naye Saal Kai....*


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo