Chaandani ko rusool kehta hon Baat ko ba-asool kehta hon

 Poet:Saghar Siddiqui

Type By

*.__NOMI__.*

Chaandani ko rusool kehta hon
Baat ko ba-asool kehta hon

Jagmagaate hoe taaron ko
Tere pairon ki dhool kehta hon

Jo chaman ki hayaat ko das le
Us kali ko babol kehta hon

Itefaaqan tumhare milne ko
Zindagi ka husool kehta hon

Aapki saanvli si soorat ko
Zauq-e-yazdaan ki bhool kehta hon

Jab mayassar ho sagar-o-minaa
Barqpaaron ko phool kehta hon

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo