Dekhiye to lagta hai Zindagi ki raaho main Ek bhid chalti hai

Dekhiye to lagta hai
Zindagi ki raaho main
Ek bhid chalti hai
Sochiye to lagta hai
Bhid main hai sab tanha
Jitne bhi ye riste hai
Kaanch ke khilone hai
Pal main tut sakte hai
Ek pal main hojaaye
Koi jaane kab tanha

Dekhiye to lagta hai
Jaise ye jo duniya hai
Kitni rangin mahefil hai
Sochiye to lagta ha
Kitna gum hai duniya me
Kitna jakhmi har dil hai
Vo jo muskurate the
Jo kisi ko khwabo main
Apne paas pate the
Unki nind tutio hai
Aur hai wo ab tanha

Dekhiye to lagta hai
Zindagi raaho main
Ek bhid chalti hai
Sochiye to lagta hai
Bhid main hai sab tanha.

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo