Latest Post
Loading...

Dhoop Ke Dasht Mein Sheeshay Ki Ridayen Di Hain Zindagi Tu Ne Humain Kaisi Sazaayen Di Hain


Dhoop Ke Dasht Mein Sheeshay Ki Ridayen Di Hain

Zindagi Tu Ne Humain Kaisi Sazaayen Di Hain

Sholon Jaisi Hi Ata Ki Hain Sulagti Boondein

Aag Barsaati Hoi Humain Ghattaayen Di Hain

Ik Dua'go Ne Rafaqat Ki Tassali De Kar

Umar Bhar Hijar Mein Jalnay Ki Sazaayen Di Hain

Dil Ko Bujhney Ka Koi Bahana Darkaar To Tha

Dukh To Ye Hai Tere Daman Ne Hawaayen Di Hain

Kaisa Mahol Mila Humain Jeene Ke Liye

Dene Walay Ne Humain Kaisi Fizaayen Di Hain

**********NOMI**********


0 comments:

Post a Comment

 
Toggle Footer