Dil Se Bhi Sharamsaar Howe Koo-E-Yaar Mein Hum Ja Ke Aur Khuwaar Howe Koo-E-Yaar Mein

 

دل سے بھی شرمسار ہوئے کوے یار میں
ہم جا کے اور خوار ہوئے کوے یار میں

دنیا رنگ و بو میں یہ راحت کہاں نصیب
شعلوں سے ہمکنار ہوئے کوے یار میں

کیف و نشاط حسرت دیدار اب کہاں
جلوے بھی ناگوار ہوئے کوے یار میں

جن کے سہارے منزل غم ہم نے کاٹ دی
وہ حوصلے شکار ہوئے کوے یار میں

مدت سے ہنس رہے تھے غم روزگار پہ
جی بھر کے اشک بار ہوئےکوے یار میں

قابل گئے نہ سایہ دیوار چھوڑ کر
کیا کیا جگر فگار ہوئے کوے یار میں
قابل اجمیری 

 

Qabil Ajmeeri

Dil Se Bhi Sharamsaar Howe Koo-E-Yaar Mein

Hum Ja Ke Aur Khuwaar Howe Koo-E-Yaar Mein,

Dunya Ke Rang-O-Boo Mein Ye Rahat Kahan Naseeb,

Sholoon Se Humkinaar Howe Koo-E-Yaar Mein,

Kaif-O-Nishaat Hasrat Deedaar Ab Kahan,

Jalway Bhi Na-Gawaar Howe Koo-E-Yaar Mein,

Jin Ke Sahare Manzil-E-Gham Hum Ne Kaat Di,

Wo Hosalay Shikaar Howe Koo-E-Yaar Mein,

Muddat Se Hans Rahe Thay Gham-E-Rozgaar Pe,

Jii Bhar Ke Ashk Baar Howe Koo-E-Yaar Mein,

QABIL Gaye Na Saaya-E-Deewaar Chorr Kar,

Kia Kia Jigar Fagaar Howe Koo-E-Yaar Mein....!

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo