Diyaar-e-Dil Ki Raat Mein Charaagh Sa Jalaa Gaya Mila Nahi Tou Kia Howa, Wo Shakal Tou Dikha Gaya

Diyaar-e-Dil Ki Raat Mein Charaagh Sa Jalaa Gaya
Mila Nahi Tou Kia Howa, Wo Shakal Tou Dikha Gaya

Wo Dosti Tou Khair Ab Naseeb-e-Dushmanaan Howi
Wo Choti Choti Ranjishon Ka Lutf Bhee Chala Gaya

Judayion Ke Zakham Dard-e-Zindagi Ne Bhar Dye
Tujhe Bhee Neend Aa Gayi Mujhe Bhi Sabar Aa Gaya

Pukaarti Hain Fursatain Kahan Gayin Wo Sohbatain
Zameen Nigal Gayi Unhain Ke Aasmaan Khaa Gaya

NASIR KAZMI)

 


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo