Ek Toohee Na Bay-Chain Tha Pyaaray Shab-E-Hijraa'N Ginta Raha Main Bhee To Sitaaray Shab-E-Hijraa'N

Poet Shamshair Haidar

Type

By

*_FAROOQI.54_*

Ek Toohee Na Bay-Chain Tha Pyaaray Shab-E-Hijraa'N

Ginta Raha Main Bhee To Sitaaray Shab-E-Hijraa'N

Chuntee Rahee Palkoon Say Utray Huye Aansoo

Suntee Rahee Noohay Bhee Hamaaray Shab-E-Hijraa'N

Ay Zeesat Ye Manzar Bhee To Ek Baar Dikha Day

Hanstay Huye Koee To Guzaaray Shab-E-Hijraa'N

Aabad Barray Darad Hain Is Dashat Mein Laikin

Dil Hay Keh Bas Ek Tujh Ko Pukaaray Shab-E-Hijraa'N

Ab Aur Koee Dhoond Raha Hay Jo Taira Saath

Hum Log To Is Khail Mein Haaray Shab-E-Hijraa'N

SHAMSHAIR Ajab Raat Hay Kaattay Nahain Kat'Tee

Dukh Darad Bhee Yaad Aatay Hain Saaray Shab-E-Hijraa'N..............!


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo