Hum Se Bichhrre Voh Kisi Phuul Ki Khushbu Ki Woh Judaa Hum Se Huye Aankh Ke Aansoo Ki Tarah

 

Hum Se Bichhrre Voh Kisi Phuul Ki Khushbu Ki 

 Woh Judaa Hum Se Huye Aankh Ke Aansoo Ki Tarah

Muddatein Beet Gayin Aaj Bhi Tanhaayi Mein

 Unki Aawaaz Ke Sur Bajtey Hein Ghungro Ki Tarah

Hum Ne Koshish Toh Buhat Ki Ke Ghamon Se Chhotein

 Gham Ke Khum Reh Gaye Taqdeer Mein Gaiso Ki Tarah

Yaad Se Unke Na Mil Paaye Gi Ta-Umr Nijaat

 Dil Ko Qabze Mein Kiye Baithi Hai Jadoo Ki Tarah

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo