Ik Ik Adaa Thi Qehar Ke Tevar Liye Huwe, Nikle Woh HIJAAB Se Khanjar Liye Huwe,

Nasseer-UL-Deen Nasseer Gillani

Type By
*._.Murtaza._*

Ik Ik Adaa Thi Qehar
Ke Tevar Liye Huwe,

Nikle Woh HIJAAB Se
Khanjar Liye Huwe,

Hum Le Urre Hain Un
Ki Jhalak Ik Nigaah
Main,

Baithe Rahen NAQAAB
Woh Rukh Par Liye
Huwe,

Un Ka Jamaal-E-Naaz
Hai Khanjar Dar
Aasteen,

Un Ki Shameem-E-Zulif Hai Nashtar Liye
Huwe,

Dasne Lagi Hai Ab
Shab-E-Furqat Ki Tergi,

Aa Jaao Subh-E-Ro'ae
Munwar Liye Huwe,

Har Gaam Par Hai Ik
Na'ee ULJHAN Ka
Saamna,

Hum Aa'e Hain Ajeeb
Muqadar Liye Huwe,

Jis Dam Chaman Main
Aa'e Woh Ban Kar
Aroos-E-Naaz,

Haazir Ho'ee Bahaar,
Gull-E-Tar Liye Huwe,

Daikhe To Koi Un Ki Ye Taflaana Dhamkiyaan,

Mujh Ko Daraa Rahe
Hain Woh Khanjar
Liye Ho'ae,

Us Ke Tafeel Bakhsh
De Yaa Rab NASSEER
Ko,

Pohncha Jo KARBALAA
Main Behtar Liye
Huwe.....................!

Book Name
Dast-E-Nazar
Page 134-135

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo