Ishq karo toh ye bhi socho arz-e-sawaal se pehle hijr ki poori raat aati hai subah-e-wisaal se pehle


Ishq karo toh ye bhi socho arz-e-sawaal se pehle

hijr ki poori raat aati hai subah-e-wisaal se pehle

Dil ka kya hai dil ne kitne manzar dekhe lekin

Aankhein paagal ho jaati hain ek khyaal se pehle

Kis ne reit udaati shab mein aankhein khol ke rakhin

Koi ek misaal toh do na uss ki misaal se pehle

Kaar-e mohabbat ek safar hai iss mein aa jaata hai

Ek zawaal aasaar sa raasta baab-e kamaal se pehle

Ishq mein resham jaise waade aur khwaabon ka raasta

Jitna mumkin ho tayy kar lein gard-e malaal se pehle......!

 Noshi Gilani


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo