Issey samaan-e-safar maan, Yeh jugno rakh le Raah mein teergi hogi, mere aansoo rakh le

Issey samaan-e-safar maan, Yeh jugno rakh le

 Raah mein teergi hogi, mere aansoo rakh le

 Tu jo chahe to tera jhoothh bhi bik sakta hai

 Shart itni hai ke soney ka tarazo rakh le

 Woh koi jism nahi hai ke jisey chhoo bhi sakey

 Agar naam hi rakhna hai to khushbo rakh le

 Tujhko undekhi bulandi mein safar karna hai

 Ehtiyatan meri himmat, mere bazoo rakh le

 Meri khwahish hai ke aangan mein deewar na uthhey

 Mere bhai mere hissey ki zameen tu rakh le

 Rahat Indori

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo