Kab Se Mehshar Ki Raat Jari Hai, Hum Ne Kaya Zindagi Guzaari Hai


Poetess Docter Najma Shaheen Khosa

Book Main Aakhein Band Rakhti Hoon Page 207

Typed
By
*_UJRRA_DIL_*

Kab Se Mehshar Ki Raat Jari Hai,

Hum Ne Kaya Zindagi Guzaari Hai,

Ro Rahi Hoon Main Apni Qismat Par,

Har Nafas-E-Dil Pe Zakham Kaari Hai,

Ehl-E-Dil Pe Faqat Nahi Hai Moqoof,

Ishq Ka Rog Sub Pe Taari Hai,

Ho Chuki Shehar Bhar Mein Ruswaai,

Ab Yahan Kesi Pardah Daari Hai,

Kaya Bataaowon Main Haal-E-Dil Shaheen,

Be Qaraari Si Be Qaraari Hai..........................*


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo